Aao hum sab bachpan ko laye

Lovely Childhood

Kisi bache ki chahal pahal ko dekh kar,
Man karta hai laut chalu bachpan ki galiyan,
Aur fir khila lun apne man ki kaliyan


Vo bargad ka ped, Vo chupa-chupai ka khel,
Vo saheliyon ka sang, unki bato ka mel,
Titliyon ko pakadna Dekhna chitiyon ki rail.


Fir peepal ke patto par likhna man ki baat,
Der se school se ana, Fir khana maa ki daat
Vo aam ki chao vo nahron ka ghat.


Gum ho gye mere sapne, dur ho gye sab apne
chala gya vo bachpan jaise muthi ki baalu
Vo mitti ka teela, Vo khalihan vo khet.


Man dukhit bhi hai, chintit bhi hai,
Badal gya sab khel, badal gya sab mel,
Sakhiyon ki vo batey, vo bachpan ke khel.
Badmashiyan bhi dur ho gyi hain
Kaise bachau main apna bachpan


Aao kuch khele aur khilayen,
Gana gaye shor machaye,
Aur sabko khub sataye,
Aise apna bachpan dohraye
Bhavnao ke kalpnao ke ehsasoo ko dohraye,


Aise apna bachpan laye,
Khusiyon ke un palo ko laye,
Pyar ki vo sab bate sune sunaye,
erado ko majboot banaye,
Aao apna bachpan laye



एक टिप्पणी भेजें

16 टिप्पणियाँ

  1. Another nice poem on childhood. Made me remember of my childhood. So Heart touching 💓 💓 💓.

    जवाब देंहटाएं
  2. Very nice poem bachpan yad dilane wali&dil KO chune wali

    जवाब देंहटाएं
  3. Nice poem bilkul right bachpan yad a rhi h

    जवाब देंहटाएं
  4. Wow amazing thought
    Amazing lines
    Awesome........

    जवाब देंहटाएं