Kab Aur Kanha??






kab aur kanha
Girte nahi hain ham
 yun hi bhatak jaane se
Dar jate hain ham,




apne kal ka samna karne se
Bigadte nahi hain kaam
 kuchh galat karne se



Akasar bigad jaate hain kaam
 yun hi baithe rahne se
Akasar milte nahi angoor
 to kah dete hain khatte hain



Mai kahati hu chalon eas bar kosis to karte hain
Kosis karne se bahut se kaam bante h
To fir Ham Kyu soch lete hain
 ki Ham ye bevajah kaam karte hain




Har ek kaam ke pichhe Koi raaj hota hai
Jo aaj nahi to kal ko hmare sar ka taaj hota hai
Ensan bahut kuchh karna chahta hai
Fir bhi sahma sa h





Uske Man me kuchh to thahra sa hai
Man ke es mail ko saaf karna hoga
Hme apne aaj par raaj karna hoga
Kuchh paane ki chaah me karm karna hoga




 ,kuchh aise hi hame apna Future badalna hoga
Apne aap se hame kuchh aise ladna hoga,
 kal ko chhod hame aaj me jeena hoga




Safalta ki har manjil ko hame chhuna hoga
Kal ke pichhe hame apne aaj ko nahi khona hoga
Aise hi kuchh hame apna bhagya badalna hoga




कामयाबी 




एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ